Meer Taqi Meer - poems
Transcript
Classic Poetry Series Meer Taqi Meer - poems - Publication Date: 2004 Publisher: PoemHunter.Com - The World's Poetry Archive be-KHudee le ga'ee kahaaN ham ko be-KHudee le ga'ee kahaaN ham ko der se intaZaar hai apnaa rote phirte hain saaree-saaree raat ab yahee rozgaar hai apnaa de ke dil ham jo ho ga'e majboor ismeN kyaa iKHtiyaar hai apnaa kuchh naheeN ham misaal-e-'unqaa lek shahar-shahar ishtahaar hai apnaa jisko tum aasmaan kahate ho so diloN kaa Gubaar hai apnaa Meer Taqi Meer www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 2 hastee apnee Hubaab kee see hai hastee apnee Hubaab kee see hai ye numa'ish suraab kee see hai naazukee uss ke lab kee kya kahiye paNkhaRee ik gulaab kee see hai baar-baar us ke dar pe jaata hooN Haalat ab iztiraab kee see hai maiN jo bola kaha ke ye aawaaz usee KHaanah-KHaraab kee see hai Meer" un neem-baaz aaNkhoN meN saaree mastee sharaab kee see hai Meer Taqi Meer www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 3
Documenti analoghi
teologia biblica y sistematica el teologiyo pdf
ukwazi-school-of-nursing.pdf
pe-civil-michael-r-lindeburg.pdf
note-taking-guide-episode-1303-answers.pdf
principles-of-biostatistics-pagano-solutions-manual.pdf
ds-act8847-rev5-15nov12-p.pdf
append...
nuovissimo ricettario chimico pdf
nuevas-vistas-curso-avanzado-1-gramatica-answers.pdf
obd2-mercedes-benz-software.pdf
www-indo-hot-com.pdf
nstm-chapter-634.pdf
repository-unhas-ac-id.pdf
cee-medical-assam-2014.pdf
the-way-of-the-s...
kisane vaadaa kiyaa hai aane kaa fikr hii Thaharii to ko fikr
fikr hii Thaharii to ko fikr-dil e-Khubaa.N kyo.n na ho
fikr hii Thaharii to ko fikr-dil e-Khubaa.N kyo.n na ho
Khaak hona ahai to Khaak-e-kuu-e-jaanaa.N kyo.n na ho
ziist hai jab mustaqil aavaaraa...
in PDF - Lyrics Point.net
Hawa mein beh rahi hai zindagi
Yeh hum se keh rahi hai zindagi
Oho, ab toh, jo bhi ho so ho
Ude, khule aasaman mein khwabon ke parindey
Ude, dil ke jahaan main khwabon ke parindey
Oho, kya pata, ja...